Wednesday, 18 May 2016

Dil Tujhe Naaz Hai Jis Shakhs Ki …

Dil tujhe naaz hai jis shakhs ki dildaari par
Dekh!  ab woh bhi utar aayaa adaakaari par
MaiN ne dushman ko jagayaa to bahut tha lekin
Ehtejaajan nahiN jaaga  meri bedaari par!!
Aadmi aadmi ko khyaaye chala jaataa hai
Kuchh to tahqeeq karo is nayi beemari par
Kabhi is jurm pe sar kaaT diye jaate the
Ab to in’aam diya jata hai Ghaddaari par
Teri qurbat ka nasha TooT raha hai mujh mein
Is qadar sahl na ho tu meri dushwaari par
Mujh mein yuN taaza mulaqat ke mausam jaage
Aayiina haNsne lagaa hai meri taiyyari par
Koi dekhe bhare baazaar ki veerani ko
Kuch na kuch muft hai har shai ki kharidari par
Bus yahi waqt hai sach munh se nikal jaane do
Log utar aaye hain zaalik ki tarafdaari par....

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisii to na thi
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisii to na thi
Le gayaa chheen ke kaun aaj tera sabr-O-qaraar
Be-Qaraari tujhe ai dil kabhi aisii to na thi
Us kii aaNkhoN ne KHudaa jaane kiya kya jaadu
K tabi’at meri maa’il  kabhi aisii to na thi
Aks-E-ruKHsaar ne kis ke hai tujhe chamkaayaa
Taab tujh meiN mah-E-kaamil kabhi aisii to na thi
Ab ki jo raah-E-muhabbat meiN uThaayi takliif
Sakht hoti hameN manzil kabhi aisii to na thi
Paa-E-kubaaN koi zindaaN meN naya hai majnuN
Aatii aavaaz-E-salaasil kabhi aisii to na thi
Nigah-E-yaar ko ab kyuuN hai taGaaful ae dil
Wo tere haal se Ghaafil kabhi aisii to na thi
Chashm-E-qaatil meri dushman thii hamesha lekin
Jaisii ab ho gayi qaatil kabhi aisii to na thi
Kyaa sabab tu jo bigaDta hai ‘Zafar’ se har bar
Khoo teri huur-shamaail kabhii aisii to na thi........

Woh Dushman E Jaan, Jaan Se Pyaara Bhi Kabhi Tha

Wo dushman-E-jaN, jaan se pyaara bhi kabhi tha
Ab kis se kahaiN, koii humaara bhi kabhi tha
Utra hai rag-O-pai mein to dil kaT sa gaya hai
Yeh zehr-E-judaai K gawaara bhi kabhi tha
Har dost jahaN abr-E-gurezaaN ki tarah hai
Ye shehar kabhi shehr humaara bhi kabhi tha
Titli ke ta’aaqub mein koi phool sa bachcha
Aisaa hi koi khaab humaara bhi kabhi tha
Ab agle zamaane ke milen log toh puchheiN
Jo haal humara hai tumhaara bhi kabhi tha?
Har bazm mein hum ne usay afsurda hi dekha
kahte hain ‘Faraz’ anjuman-aara bhi kabhi tha..........

Rooh Mein Le Ke ZamaanoN ki Thakan Aaye The Hum

Rooh meiN le ke zamaanoN ki thakan aaye the ham
Raat yuN tha k sar e shahr e badan aaye the ham
Khush-libaasi thi jahaaN shart usi mehfil meiN
Log kahte haiN tera hijr pahan aaye the ham
Yaad to hoga khili dhoop ke maanind ik roz
Rauzan E jaaN se teri rooh meiN chhan aaye the ham
Teri aaNkhoN meiN kabhi aaye the hairat ki tarah
Tere maathe pa’ kabhi misl e shikan aaye the ham
Tumko dekha to mili quvvat e goyaayi hameiN
Varna khaamosh the jab shahr e sukhan aaye the ham
Ye to accha hua jee khol ke roya wo hameiN
Kaisa bacchoN ki tarah dhool meiN san aaye the ham
Usne kuchh aisa banaya tha ki bigde hue the
Usne kuchh aisaa bigada tha ki ban aaye the ham......

Peet Karna To Hum Se Nibhaana Sajan…

Peet karna to hum se nibhaana sajan, hum be pahlay hi din tha kahaa na sajan Tum hi majboor ho, hum hi mukhtaar hain, khair maana sajan, yeh bhi maana sajan Ab jo hone ke Qissay sabhi ho chuke, hum tumhein kho chuke, tum humein kho chuke Aagay dil ki naa baatoN mein aanaa sajan, K yeh dil hai sadaa ka diwaana sajan Yeh bhi sach hai na kuchh baat ji ki bani, sooni raatoN mein dekha kiye chaandni Per yeh sauda hai hum ko puraanaa sajan, aur jeene ka apnay bahaana sajan Shahr ke log achchhe hain hum-dard hain, per hamaari suno hum jahaaN-gard hain DaaGh-e-dil na kisi ko dikhaana sajan, yeh zamaana nahi woh zamaana sajan Us ko muddat hui sabr kartay hue, aaj koo-e-wafaa se guzartay hue Poochhh kar is gadaa ka thikaana sajan, apne ‘Insha’ ko bhi dekh aana sajan...

Ab Mehfil E Ghazal Mein Ghazal Aashna Hai Kaun?

Ab Mehfil E Ghazal mein Ghazal aashna hai kaun?
Maanaa K aek hum hain magar dusraa hai kaun?
Qaatil ne jab pukaara K ahl e wafaa hai kaun?
Sab log jab khamosh rahe bol uTha hai kaun?
Tum apni anjuman ka zaraa jaayezaaH to lo
Kahne ko to chiraagh bahut the, jala hai kaun?
Daa’va sukhan ka sab ko hai lekin tamaam umr
Ek dushman e sukhan se mukhatib raha hai kaun?
Sab dekhte jidhar hain udha kya hai kuchh nahi
Hum dekhte jidhar hain udhar dekhta hai kuan?
Tasveer e maikada meri ghazloN mein dekhiye
Sanbhla raha hai kaun, nashe mein gira hai kaun?
Main ek naqsh e paa hun magar main bataunga
Is raah se jo guzra hai woh qaafila hai kaun?
Sab dost aek ek kar ke mujhe chhoRte gaye
Dushman bhi dang hai k ye tanha khaRa hai kaun?
Ghar bhi tera, gali bhi teri, shahr bhi tera
Jo chahe jis ko kah de tujhe rokta hai kaun?
‘Aajiz’ ye kis se baat karo ho ghazal mein tum?
Parda uThao, hum bhi to dekhien chhupa hai kaun?

Dil Girafta Hi Sahi Bazm Sajaali Jaye

Dil giraftaa hi sahii bazm sajaali jaye
Yaad E janaN se koi shaam na khaali jaye
Rafta-rafta yahi zandaaN mein badal jate hain
Ab kisi shahr ki buniyaad na daali jaye
Mushaf E rukh hai kisi ka K beyaaz E Hafiz
Aise chehre se kabhi faal nikaali jaye
Wo murawwat se mila hai to jhukadun gardan
Mere dushman ka koi waar na khaali jaaye
Be-nawaa shahr ka saaya hai mere dil pe ‘Faraz’
Kis tarah se meri aashufta khyaali jaye.........