Ghazal
- Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Jaa Saka,
Usko Bhi Dil Ka Haal Bataya Na Jaa Saka,
Zakhmon Se Choor Choor Tha Ye Dil Mera,
Ek Zakham Bhi Usko Dikhaya Na Jaa Saka,
Jab Teri Yaad Aayi To Koshish Ke Bawajood,
Aankhon Mein Aansuon Ko Chhupaya Na Jaa Saka,
Kuch Log Zindagi Mein Aise Bhi Aaye Hain,
Jinko Kisi Bhi Lamhe Bhulaya Na Jaa Saka,
Bas Is Khayal Se Kahin Usko Dukh Na Ho,
Humse To Haal-E-Gam Bhi Sunaya Na Jaa Saka,
Wo Muskuraya Tha Mere Ru-Ba-Ru Magar
Chehre Ka Rang Usse Chhupaya Na Jaa Saka,
Tanhaiyon Ki Aag Mein Hum Jal Gaye,
Magar Faasla Jo Darmiya Tha Mitaya Na Jaa Saka..
- Ab Ke Mausam....
Na Hi Kisi Rukh Se Roshni Hui,
Na Koi Chirag Larza,
Na Koi Sitara Chamka,
Na Hi Koi Phool Khila Is Dil Mein...
Ab Ke Mausam....
Na Koi Rang Dikhaya Heena Ne,
Na Hawa Se Aanchal Sarsaraya,
Na Hi Kisi Khwab Se Ulajh Kar Chhudiyan Chhanki,
Ab Ke Mausam....
Na Kisi Aankh Mein Simat Kar Chand Hi Muskuraya,
Na In Baharon Ne Koi Geet Hi Sunaya,
Theher Gayi Kaayenaat Is Dard Ki Aagosh Mein,
Aur Bhigte Chale Gaye Hum Aansuon Ki Barish Mein....
Ab Ke Mausam.....
- maine dekha tha un dino mien usse
jab wo khiltay gulab jesa tha
uski palkoon se neend chanti thi
us ka lahja sharab jesa tha
us ki zulfoon se bhegti thi ghatta
us ka rukh mahtaab jesa tha
log parhtay thay khal o khad us ke
wo adab ki kitab jesa tha
bolta tha zaban khushbu ki
log suntay thay dharkanooon mien usse
mien dekha tha un dino mien usse
sari ankhien thein aainay uske
saray chahroon mien intekhab tha wo
ye haqeqat hai ke koi khawab tha wo
sab se ghul mil ker ajnabi rahna
ek dariya numa serab tha wo
meri neendien bhi uski nazr hoein
meine paya tha ratjagoon mein usse
meine dekha tha un dino mien usse
jab wo hans hans ke raat karta tha
dil ke khemay mein raat karta tha
rang parhtay thay aanchaloon mien usse
miene dekha tha un dino mien usse
ye magar daer ki kahani hai
ye magar daer ka fasana hai
abh us ke aur mere milaap ke haail
sadiyon bhara zamana hai
abh ke haal apna bhi dasht e hijra ki shaam jesa hai
najanay in dino wo kesa hoga??
men dekha tha un dino mein usse
No comments:
Post a Comment